- 12th November 2019
- Posted by: Tapan Ghosh
- Category: Poem Video
85 Views
No Comments

Ye duniya, ye mehfil mein kuch kaam ho na ho
Kaam phir bhi karte raho, chaahe anjaam ho na ho
Faida karna ek baat hai, faida uthana alag
Ek deta hai, doosre ko sirf lene se matlab
Faida uthane se faida nahin, nuksaan hi hota hai
Beimaani ka, na-insaafi ka saamaan hi hota hai
Kaam karte jaao, anjaam se na rakho vaasta
Yahi zindagi ka raaz hai, yahi jeene ka raasta
Zamana badalta rahe
Khudaai nahin badalti
Chehra chaahe jo kahe
Ankhon ki sacchaai nahin badalti
Insaan badalta hai
Rishte badalte hain, neeyat badalti hai
Jo nikli ho dil se
Uss baat ki gehraai nahin badalti
Aasha ki ek kiran kaafi hai
Andhera mitaane ke liye
Kaun kehta hai
Zamaane ki buraai nahin badalti